Tuesday, 25 March 2014

~~Aur kuchh Nazron se hai jhaankti~~

Nazron ki gehraiyaan chhupaati
Kuchh kehti, kuchh muskuraa jaati
Aur kuchh nazron se hai jhaankti

Kuchh dabi aawaaz, kuchh toote alfaaz
Kuchh bikhre sawaalon ke jawaab
Morti, jorti, dhundati, aur fir unme kho jaati

Samandar ki lehron si halchal
Par andar ki shaant gehri tanhaiyaan
Lehron ke saath ufanti, khelti, tootati, aur fir tanhaaiyon me samaati

Roz ki sahi galat pe hairaan hoti
Duniyaan ki hairaaniyat pe gungunati
Pareshan ho simat jaati, bikhar jaati
Darti, sulajhti, ulajhti, ek gehri saans ke saath fir se baandhati

Aanson ki boond se moti banaati
Dil ki dharkanon me unko piroti
Pehenti, utaarti, nihaarti, fir unhe dil me chhipaati

Nazron ki gehraiyaan chhupaati
Kuchh kehti, kuchh muskuraa jaati
Aur kuchh nazron se hai jhaankti

No comments: